Ae Kul Ke Madadgaar Madad Ke Liye Aao
Aao Morey Sarkaar Madad Ke Liye Aao
Imdaad Karo Aake Hamare Morey Haami
Ae Maalik Dildaar Madad Ke Liye Aao
Aao Morey Sarkaar Mori DaadaRasi Ko
Raw Daar Rawa Daar Madad Ke Liye Aao
Aasooda Karo Aake Hamare Dil-e-Aara
Ae Dawar-e-Saalar Madad Ke Liye Aao
Ae Sarwar-e-Aalam Mori Imdaad Ko Aao
Imdaad Hai Darkaar Madad Ke Liye Aao
Ae Haami Kul Dehr Ataa Ae Morey Sarwar
Ae Haadi Sardar Madad Ke Liye Aao
Mahmila Kalaam Ke Maahir Huye Dawar
Ae Aalam-e-Asraar Madad Ke Liye Aao