Zameen Meri Zamaa’n Mera Haqeeqat Mein Jahaan Mera
Na Samjha Aaj Tak Koi Thikana Hai Kahaan Mera
Zameen Par Main Zamaane Ke Liye Paighaam Laaya Hoon
Sunao Ghaur Se Kya Hai Yeh Andaaz-e-Bayaan Mera
Zameen Par Mere Aane Ka Koi Ek Khaas Maqsad Hai
Falak Par Aazmaish Thi Zameen Mera Imtihaan Mera
Khuda Ne Jab Mujhe Laakar Farishton Ke Kiya Aage
Farishton Hosh Kho Baithe Sune Jis Dam Bayaan Mera
Nahi Maaloom Tha Insaan Ka Rutba Farishton Ko
Khuda Khud Hi Kaha Unse Yahi Hai Raazdaan Mera
Farishton Ko Hua Hukm-e-Khuda Sajda Karo Isko
Hue Hairaan Aur Karte Rahe The Who Gumaan Mera
Khuda Ke Raazdaan Ka Naam Hi Insaan Hai Daawar
Khuda Bola Farishton Se Yahi Hai Ins-o-Jaan Mera