Naa Jaane Kyun Ladakpan Mein Haseenon Par Shabaab Aaya
Ke Aashiq Ke Liye Haathon Mein Dil Khaana Kharaab Aaya
Tasalli Kab Talak Dene Bhala Hum Apne Is Dil Ko
Naa Who Aaye Naa Khat Aaya Naa Ab Tak Kuch Jawaab Aaya
Koi Mehroom Tha Deedaar Se Lekin Yeh Qismat Hai
Tumhari Anjuman Se Uth Ke Main To Kaamyaab Aaya
Andhera Hi Andhera Tha Meri Veeran Mehfil Mein
Who Dekho Aaj Bazm-e-Naaz Mein Ek Maah Taab Aaya
Naa Aayenge Teri Baato Mein Har Giz Hum Kabhi Waiz
Arey Naadaan Tu Kyun Haath Mein Lekar Kitaab Aaya
Rakha Jis Waqt Main Ne Paaye Naazuk Par Jabeein Apni
To Mere Saamne Mere Gunahon Ka Hisaab Aaya
Shikayat Kar Raha Hai Hashr Mein Bhi Zaahid-e-Rab Se
Qasam Allah Ki Daawar Bada Khaana Kharaab Aaya