Sab se afzal dua hai Bismillah
Pehlay munh se ada ho Bismillah
Is ki barkat se maraz jata hai
Kya nirali dua hai Bismillah
Saray Qur’an ke hai sar oopar
Ek jagah na likha hai Bismillah
Aag mein kood kar Khalil ne jab
Apne munh se kaha hai Bismillah
Aag gulzar ban ke dikhlaai
Aag ko gul kiya hai Bismillah
Is mein be had Khuda ki rehmat hai
Khud zubaan se kaha hai Bismillah
Ism-e-Azam isay samajh Dawar
Tere dil mein basa hai Bismillah