Laulake Lama Par Naksh Huwa Ganjnayeh Erfa`n Bismillaha!
WaShams Ka Imaa`n Bismillaha Wallailliki Hai Jaan Bismillaha!!
Vo Lohe Va Qalam Bhi Sadhkhey Hai Aur Aarshe Mukhadas Hai Qurban!
Tousif Bhala Mai Kaise Karoon Quraan Ka Unwah Bismillaha!!
Aagaaj Se Peheley Bismillaha Aanjam Se Peheley Bismillaha!
Markaz Pe Teharthi Hai Nazre`n Iss Dil May Hai Pinhaan Bismillaha!!
Barkath Ka Yahi Saman Toh Hai Rehemath Bhi Tasdik Hothi Hai!
Yeh Raaz Na Aab Tak Samjha Koie Kyun Sab Sey Numaya Bismillaha!!
Jab Tak Na Padogey Bismillaha Har Kaam Aadhura Rehetha Hai!
Khud Haq Ney Kaha Hai Aie DAWAR Quraan ka Quraan Bismillaha!!